Main SMS Messages3698 messages

hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
mere nagmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin k liye rahoun Main bichaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi eehd e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarhan kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

Main ne palkoun se dar e yaar par dastak dii haii
Main woh sahil hoon jisse koi sada yaaad nahi

kaise bhar aayein sar e shaam kisssi ki aankhein
kaise thari chiragoun ki zia yaad nahi

sirf dhundle sitaroun ki chamak deeekhi hai
kab howa kon howa mujh se khafa yaad nahi..

aaoo ek sajda karein alam e madhoshi Main
loggg kehte hain SAGAR ko khuda yaad nahi......
Aik bar kisi ney kaha

Farzz karo k tum har cheez sey dastbardar honey par majboor

kar diye jao aur tumhain siwaye saat lafzon k sab kuch bhulana

par jaye..to tumharey wo saat alfaz kya hongey?...jis ka tum

intekhab karo gey

Main ney socha aur sirf paanch alfaz bata saka jo ye they...

"Allah,Zindgi,Mohabat,Hussn,Zameen"

aur phir Main ney us ki taraf deikh kar kaha k

"baki do alfaz kya ho saktey hain...??"

Tab us ney kaha baqi do alfaz hain...

"Main aur Tum....
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon Main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager Main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon Main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager Main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain
Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta hoon Main yeh soch k tanhaee Main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon Main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k Main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki Main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon Main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon Main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju Main laga dijiyey mujhay
meri rooh Main jo uter sekain woh mohabbatin mujhay chahiyain
jo saraab hoon na aazab hoon woh rafaqatain mujhay chahiyain


inhain saetoon ki talash hay jo calenderoon say uter gain
jo samay k sath guzar gain wohi fursatain mujhay chahiyain


kahin mil sekain to samait la meray roz-o-shab ki kahaniyan
jo ghabaar waqt Main chup gain woh hiqayatain mujhay chahiyain


jo meri shaboon ka charagh thay jo meri umeed k baagh thay
wohi log hain meri arazo wohi souratain mujhay chahiyain


teri qerbatain nahi chahiayin meri shairy k mizaaj ko
mujhay fasaloon say doaam day teri ferqatain mujhay chahiyain
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh Main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh Main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain

Bas Yaadain Bohat Stati Hain

Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe

Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain