Main SMS Messages3698 messages

Agar hum door ho jayen

kahin dunia mein kho jayen

btao kya kro gay tum?

HaMain dhondo gy ya Phir bhol jao gay?

HuMain awaz dogay?
ya,ksi guzri kahani mein hmara naam likh do gay?
Chalo aisa hi karna tm
Badal jana,
hamy tm bhol hi jana
Mgr itni guzarish hy
Hmara zikar jab aye
zra sa yad kar lena!
WO TO MAJBORIOON Main LIPTI HAIN
APNEY SHIDDAT BHAREY KHYALOON Main
APNEY ANDER CHHUPI EK AURAT Main
WO HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
NA TO JEETI HAIN NA TO MARTI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI

PER HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
APNE REETI OR RAWAJOON SE
ANY WALEY NAYE AZABOON SE
ZARDURAT Main KHILY GHULABOON SE
PYAAR KERTI HAIN OR CHHUPATI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOT

KYUON KI MAJBORIOON Main LEPTI HAIN
OR HER LAMHA DARTI REHTI HAIN
APNEY PYAAR SE APNEY SAYE SE
APNEY RISHTON SE DIL KI DHARKAN SE
APNI KHOWAHISH SE APNI KUSHIOON SE

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI !!!
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon Main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia
meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajnabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi

tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari dhoop Main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune

tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasMain nahi
mere dil Main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras Main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas Main nahi mere bas Main nahi
Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy Hontoo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum Sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
TuMain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.


Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..


Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...


Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...


Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,

Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,

Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,

Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,

Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,

Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak..
Dost ban kar bhi nahin saath nibhaaney wala
Wohi andaz hai zaalim ka zamaaney wala

Ab usey log samajhtey hain giraftar mera
Sakht naadim hai mujhey daam Main laaney wala

Kya Khabar thi jo meri jaan Main ghula hai itna
Hai wohi mujh ko sardar bhi laaney wala


Tere hotey huey aa jati thi saari dynya
Aaj tanha hu to koi nahin aaney wala

Kya kahen kitney marasim they hamarey us se
Wo jo ik shakhs hai munh phaer kar jaaney wala
Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kiun Nehi Kam Hota Mera

Ansoon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhai Main Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeta Hoon Na Marta Hoon
Us Ki Yaadon Main Rota Rehta Hoon

Pata Hai Wo Kabhi Nehi Milay Gi Mujhe
Phir Bhi Us Ka Intazar Rehta Hain Mujhe

Usay Bhool Kar Kasi aur Ko Appna Banana Cahata Hoon
Per Koi Muj Jase Badnaseeb Ko Apnana Nahi Cahata Hai

Har Koi Kahta Hai Main Tere Saath Tere Har Muskil Main Saath Doon Ga
Waqt Anay Per Har Koi Mun Mor Kyun Leta Hai

Jab Mujhe Kisi Kay Saath Ki Zarrort Hoti Hai
To Mujhe Koi Saath Kyun Nahi Deta Hai
Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar Main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k khud ko sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh huMain kaisay wafa ka koi sila daitay
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye