Main SMS Messages3698 messages

Ek beqarari Main doob ker....
Ek masti Main jhoom ker....
Muhabbat nay apna Izhaar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!




Khawab baney Aarzoo ki terha....
Umeed bani zindgi ki terha....
Her Ehsaas nay Iqraar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!




Etabaar ka hath thaam ker....
Yadoon ko hamrah ley ker....
Is Masoom nay bey-ikhtiar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!


Ek khoobsurat Etminaan ki terha....
Tum huey hamari Duaa ki terha....
Hum ney tumhain Toot ker chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!
apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon Main merii dekh ke rote kion ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho

milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon Main
Badalti rut ka qiyas hoön Main
Bujha de apni mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon Main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil Main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
kabhi yun jo ho kisi din agar
kabhi tu jo sar-e-raah miley

Main hazar lamhon ko khench kar
ye jo chalta waqt hai...baandh doon

ye jo gardishain hain zameen ki
isi ek lamhay pe ruki rahain

Main taka karon tujhy jazab se
yunhi pyar se yunhi shoq se
teri har ada ko samait loon
Main hisar-e-jaan Main saja rakhon

tu jo paas ho tou Main jee sakon
tu jo duur ho na jiia karon...

kabhi yun jo ho kisi din agar
mere humsafar tu jo na miley

Main hazar dharkanon ko khench kar
ye jo chalta dil hay...baandh doon

ye jo silslay hain meri saans k
teri duuri Main hii haar doon

tu jo paas ho tou Main jee sakon
tu jo duur ho...na jiia karon...!!!!
Zinadgi Kis Terha Bitaoge
Paas Jab Apne HuMain Na Paoge

Din Man Tanhaiyan Satayengi
Raat Main Chonk K Uth Jaoge

Raat Bhar Neend Kion Nahi Aati
Tum Ye Khud Samajh Na Paoge

Log Poochenge Is Tanhai Ka Sabab
Kia Chuapoge Kia Bataoge

Palkain Har Baar Bheeg Jayengi
Jab Kabhi Khul K Muskuraoge

Meri Yaadain Bohat Satayengi
Jab Bhi Baarish Main Bheeg Jaoge

Khud Ko Tanha Na Paa Sakoge
Har Jaga Mera Hii Aks Paoge

Batao
Zndagi Kis Terha Bitao Ge
Main Udaasian Na Saja Sakoon
Kabhi Jism-o-Jaan k Mazaar Pe
Na Diye Jalain Meri Aankh Main
Mujhe Itni Sakht Saza Na De
Zara Dekh Phool Ki Pation Ne
Bikhar Bikhar K Tamam Shab
Tera Naam Likha Hai Rait Par
Koi Leher Aa K Mita Na De
Maire Saath Chalne K Shauq Main
Bari Dhoop Sar Pe Uthayega
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka
Kahin Gham Ki Aag Ghula Na De
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se
Ye Dukhon k Phool Chuna Karoon
Meri Salatnat Mera Fun Rahe
Mujhe Taj-o-Takht Khuda Na De
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur Main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis Main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon Main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
Main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay Main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Chaand Ko Sitaaro''n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Phoolo''n Ko Baharo''n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Mehfil Main Jo Milna Nigahain Jhuka Lena

Koi Samajh Na Paye K Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Ab Tere Hijr Main Bas Ek Kaam Hai Aasman Takna

Tum Sitaaro''n Pe Likh Dena Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Hai HuMain Bhi Ehsaas Tum Ko Bhi Hum Se Pyar Hai Lekin

Ye Mere Rubaru Kehna Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
woh Aadmi Hai Aam Sa..
Ek Qissa Natamaam Sa..
Na Lehja Be-misal Hai,
Na Baat Main Kamal Hai..
Hai Dekhne Main Aam Sa
Udasiyon Ki Shaam Sa
Jaise k Ek Raaz Hai
Wo Khud Se Be-niyaaz Hai
Na Mehjabinon Se Rabt Hai
Na Shohraton Ka Khabt Hai
Ranjha, Na Qais Hai Koi..
Insha, Na Faiz Hai Koi
Woh Peker-e-Ikhlas Hai...
Wafa, Dua Aur Aas Hai...
Wo Shakhs Khud Shanaas Hai,
Tum Hi Karo Ye Faisla!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?
Ya Phir Bohat Hii Khaas Hai...?