Main Udaasian Na Saja Sakoon
Kabhi Jism-o-Jaan k Mazaar Pe
Na Diye Jalain Meri Aankh Main
Mujhe Itni Sakht Saza Na De
Zara Dekh Phool Ki Pation Ne
Bikhar Bikhar K Tamam Shab
Tera Naam Likha Hai Rait Par
Koi Leher Aa K Mita Na De
Maire Saath Chalne K Shauq Main
Bari Dhoop Sar Pe Uthayega
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka
Kahin Gham Ki Aag Ghula Na De
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se
Ye Dukhon k Phool Chuna Karoon
Meri Salatnat Mera Fun Rahe
Mujhe Taj-o-Takht Khuda Na De
chirag laikar mein dhundata hun wafa kahan hai wafa kahan hai,
Bata dey mujh ko jahan k Malik hai nirkh kitna dukan kahan hai,
mein aisey rehbar k payoon choomoon jo yeh bataye wafa kahan hai,
hai saari duniya hee chakar-e-banwar mein ya sirf mera hee imtihan hai?
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.