Kahen se tera Sath Le Aaon!

Kahen se tera Sath Le Aaon!
Kahen se tera Sath Le Aaon!
Wasul ki Chaand Raat Le Aaon!

Baith Jaon Kisi Dourahy Per!
Maang Kar tera Haath Le Aaon!

Kitni Sadiyoon K Baad Boloon Main!
Labb pe Ek Teri hii Baat Le Aaon!

Apni Aankhoon Ki Band Galiyoon se!
Aans`on Ki Baaraat Le Aaon!

Itni Pooja Karun K Main Ek din!
Apni Zaat me Teri Zaat Le Aaon!
  

May, 29 2010     330 chars (3 sms)     4286 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi Gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!
Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai
na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai
Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai
Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai
Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai
Apni hi dhun mein guzari hai yaaro
Meri zindagi mein ajab ik maza hai
Adha Chand aur pUra dukh

jab se tum bichar gaey ho tab se

Adha Chand aGar dekhon to

mEri ankhain bhar aAti Hain.
ajab teri rafaqat me maza ata hai.

musalsal safer me rehne ko ji chahta hai
Hum tanhaa hue to kya hua;
teri yaad se dil behlaayenge
tere mehboob nahi to kya hua
tere aashiq zarur kehlaayenge
kya tareef karu aapki, Jeet
Aap shabdon mein kahan sama paoge

Bas itna jaanlo ke jab bi baat chalegi Dosti ki
Meri aankhon mein aap hi nazar aaoge.
kahan kahan na chiri daastan-e-jurm-e-wafa
hamaray eshq ka charcha kahan kahan na hua
Fraib tha unki hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zindagi samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt samajh bathay
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,

Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,

Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Yeh Dukh Dill Say Nahi Taltey !
Jo Uss Ne Haath Choura To...
Mujhey rastay Nahi miltay ..!!!