Kia bhala mujh ko parakhne ka natija nikla
Zakhm-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla
Tishnagi jamm gayi pathar ki tarha honto per
Doob kar tere dariya main, main pyasa nikla
Tor kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
Teri surat ke siwa aur bata kia nikla?
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kuchh to bolo aap bhi hume sunane ki chahat hai,
Hilte dekh honth aap ke milti hum ko rahat hai,
Kuchh bhi words aap bol do shayari khud ban jaygi,
Honthon se lag kar aap ke har word mein mithaas bhar jaygi.
Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE