Kisi aesy hi mosam men k jab barish bhari raten hamen sony na deti
theen koi masoom si yaden hamen rony na deti theen kisi k anbereen gasoo hamara jab sahara thy
kisi ki chashm e purnam ka kabhi ham bhi sitara thy kisi ki narm o nazuk si hansi k wasty yaro hamen dukh bhi gawara thy kisi aesy hi alam men
kisi aesy hi mosam men shab e hijran chali ai mery dil ko mohabat ki tapish se ashna kar k mujhy mujh se juda kar k shab e hijran ye kehti
hy kisi aesy hi mosam men koi bhi ajnabi dekho usi se dil laga lena khalish dard e mohabat ki galy mil kar mita lena kisi aesy hi mosam men,