vo log bohut Khush

vo log bohut Khush
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya
  

Jun, 02 2010     286 chars (2 sms)     2743 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is qadar shidaad se tumhe socha hai musalsal main ne
keh ajj meri zaat ka muj se ikhtalaff ho gaya......
Aaj Phir Aapki Yaad Ayee Barish Dekh Kar Main Reh Na Sakii Apni Bebasi Dekh Kar

Royee Apki Yaad Main Itna K Baish Bhi Tham Gaye Meri Barish Dekh Kar
Usay apnay dard ki fikar thi
Wo jo mera wakf-e-hal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi
Wohi mera waqt-e-zawal tha
Mera dard kaisay wo janta
Meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana k safar mein tha
Usay rokna hi muhal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar
Mein yeh pooch pooch kar thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka
Who to khud srapa-e-sawal tha
Wo mila to sadion k bad bhi meray lab per koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dia jisay guftagu main kamal tha
Mohabbat K Pehlay Sunehray Safar Mai..

Meri Ye Duwa Hai..

K Tum Ko Khushi K Hazaro Jazeerain Milain..

Aur Muj Ko...

Tumhari Mohabbat... |''!''|
Kitna Bhi Mukhlis Ho Jaoun Kissi
Se Bhi, Kho He Daita Hu Ussay .
Wajah Ban Ker Beach Meey Aksar
Kabhi Mera Mazhab Kabhi meri zaat ayi
taluq baad main tabdeel ho ker jo bhe reh jaaye,

mohabbat main woh pehla muskerana yaad rehta he,

kisi ki laakh baatein aik pal main bhool jaati hain,

kisi ka aik hee jumla purana yaad rehta he !
tere hath se mere hath tk ye jo hath bhar ka he fasla....
ise napte ise kat'te meri sari umer guzar gai
tere dil ka dastoor bhi ajeeb hai

mohsin

mohabat un ko milti hai jinhen nibhani nahi aati..
hamara haq to nahi hai phir b ye tum se kehty hain.

mohsin

hamari zindagi tum le lo magar udas mat raha kro...
If u r in Luv,u have to accept pain :)

Well here goes a swit nazam.hope u will ike it..


Chand teri khushbu liey

Nagar nagar phirta raha

Shaam tere aanchal pakray

Dheeray dheeray dhalti rahi

Aur main teri aas liey chupaky chupkay rota raha.:(


Bat sajdoon ki nahi khaloos-e-niyat ki hoti hy IQBAL Aksar log khali hath laut atey hain her NAMAZ k baad
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...