main chahata bhi yahi

main chahata bhi yahi
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
  

Jun, 02 2010     263 chars (2 sms)     2547 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka,
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka,
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka,
Umer Guzri par Daed na jana dil ka,
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha,
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka,
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se,
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka,
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam,
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka,
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Jo dekha tumko,to dekha chand,
Jo dekhi tumhari muskan,to dekha saagar,
Jo dekhi tumhari aakhen,to dekha mera dil,
Jo suni tumhari baatein,to suna meine geet,
Jo paya tumhara saath,to mili mujhe preet,
Jo nazar tumhari uthi,to suraj nikla,
Jo nazar tumhari jhuki,to chand nikla,
Jo meine dekha tujhe to sara jahan nazar aaya!
chalo dunia ko choor chalen

""sagar""

suna hai log boht yaad krte hain chaley jane k baad..
jo khAwaB dene pe Qadir thA Ankhon ko


AzaAB dete howe B mujhe '''' KHUDA'''' he lAgA.
Maang Lenge Tujhe Apne Khuda Se Hum
Cheen Lenge Tumhe Har Kisi Se Hum
Mere Siva Tum Pe Haq Nahin Hai Kisi Ka
Na Karna Bewafai Mujh Se Kabhi Varna
Duniya Chod Denge Hum

ankho mai ansoo chupae nahi jate,
mukadar k likhe mitae nahi jate,

kaise churaon teri yadoon se daman,
dil mai basnay wale kabhi bhulae nai jate
thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "mohsin"

magar khayalon se koi jaye to neend aaye...
Jigar ki aag say iss dill ku jalta daikhtay jao
Luti jati hay armanon ki dunya daikhtay jao

Issi din k liey bolo tumhain kya ham nay chaha tha
Keh gam barbad hun aur tum tamasha daikhtay jao
Aaj mat rok madhosh ho jane de

Paas aa apne nashe me kho jane de

Na aaon hosh me na meri sanson se teri mehek jae

Band krle ankhen jo hota hy ho jane de.
be azar wo kar late hain wada yeh samajh kar.
yeh ahl-e-murwat hain,taqaza na karen ge.
Tumhi Dekho Na Yeh Kia Ho Gaya,
Tumhara Hu Main Aur Tum Meri.................