kiya mila use

kiya mila use
kiya mila use mire dunya ujar kar
woh bhi tanha phir raha hai mujhe tanha chor kar
  

Dec, 24 2013     83 chars (1 sms)     2544 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kon Pujay Ga Khialoon Kay Sanam Maray Baad
Toot Jaiy Ga Parastish Ka Bharam Maray Baad

Kis Ki Ungliaan Sanwarain Gi Teri Zulfe Daraz
Kon Khaiay Ga Terey Sar Ki Qasam Maray Baad
< Pyar kya hai ? >
kisi ko itna chahna k oski har baat manane ko dil kary,
itna chahna kdua osky nam se shoro ho aur osi k nam
par khatm ho,itna aetbar karna k dunia mein koi yaken
ko behka na saky,itna chahna k kisi ki har burai b khubi
lagy,itna chahna kkisi k bin chohye aag si lag jae...
yeh hai pyar..
pyar wo nai jo sirf sath honay par hi zaher ho..
pyar sachy ashiq ki tarap,oski baichaini,
baikrari hai jo sirf apny pyar kliae hai
Chahay Koi B Na De Humain Khush Rehny Ki Dua.

"A_Dost"

Wese Bhi Hum Khushiyan Rakhty Nahi Baant dia Karty hain.
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya,

Jo pyar karne pe majbur na kar de wo ikrar hi kya,

Intezar to sab karte hai,

Sanse tutne tak jo saath na de wo yaar hi kya........;->
Ajab shaam khari hai Kahin se aajao,
Barri udaas ghari hai kahin se aajao,
Kissi se milna aur mil ke bichar jana,
Saza Yeh itni bari hai Kahin se aajao
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
Jab wo mera NAAM Apne haathon ki LAKEERON mein;

TALAASH Kr k THAK Gaya To dheere se sir jhukaya Aur,

muskra k kaha

''''Lakeerein jhoot bolti Hain''''
Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....
Asman ko neend aye to sulaye kaha

dharti ko maut aye to dafnaye kaha

sagar mein leher aye to chupaye kaha

hamein apki yaad aye to jaye kaha...;->
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.
Gam nahi waha jaha ho fasana tera,Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,Ye duniya bhula na sake muskurana tera..
Vo rulaa kr hans na paayaa der tak,
Jab main ro kar muskuraya der tak

Bhulana chaha agr us ko kbhi,
Aur bhi vo yad aayaa der tak

Bhuukhe bachchon ki tasalli k liye,
Maan ne phir paani pakaayaa der tak

Gun_gunata ja raha tha ik faqiir
Dhup rahatii hai naa saya der tak