ahal-e-dil aur bhi hain

ahal-e-dil aur bhi hain
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
  

Jun, 05 2010     495 chars (4 sms)     2227 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

koi acha lage to use pyar mat karna
uske liye neenden bekar mat karna
do din to aayenge khusi se milne
tisre din kahenge mera intazaar mat karna
"Na kar byaan un se haal e dil WASI"


"magror sa shaks hai kahin sath na chor de"...
Andaaz-e-Junoon Konsa
Hum Main Nahi Majnuu

Par Teri Terha Ishq Ko
Ruswa Nahi Kerte ! :)
Kon Kitna Bara Fareebi Hai...

Aao Ek Sham...

Hum Mohabbat Se..

Apni Apni HatheeliYan Dekahin..
jab woh mera naam

apne haathon ki lakeeron main

talash ker k thak gaya

tu dheere se sir jhukaya

aur muskara k kaha

"lakeerain jhoot bolti hain"!
sab yahi kahte hai ki laga rakhi hai khushbo mai ne
kisi ke yadoo se mahekte hain koi kia jane
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
mai ny haq-e-muhabat ada kiya
na kbhi ksi se gila kiye
mjy ajab is ka sila mila
mjy dil se us ny bhula diya
muhabatoon ki kitab ka
her aik warq jala diya
wo jo arzoo ka charag tha
usy nafraton ny buja diya
mjy zakum phir aik naya diya
mjy iss muhabat ny kya diya
wo jo kehty thy khush raho
wo jo thy meri jaan tum her dum hasa kro
mjhy aj unhoon ny rula diya
mera nishaan tak mita diya...;->
Aaj udaas hun to kisi ny bhi aawaz na di,,,
Faraz

Yeh matti k putly kisi sy waFa nahi karty...
Manzilain Sab Ka Muqadar Hon Yeh Zaroori To Nahin
Kho Bhi Jaatay Hain Nayi Raahon Par Chalnay Walay...!!!
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Ankho se Apke dil me utar jaenge,

dil me utar k dhadkan ban jaenge,

Palke jhuka kar chalna,

warna logo ko Apki ankho me

sirf hum nazar aayenge.