Wo Naam Tha Badal Gaya
Mein Sham Tha Dhal Gaya
WO Nazar Tha JhuK Gaya
MeiN tehreer Tha Mit Gaya
WO Shama Tha Pigal Gaya
Mein Perwana Tha Jal Gaya
Wo Ashk Tha Beh Gaya
Mein Dard Tha Seh Gaya
WO Chand Tha Chuup Gaya
Mein Badal Tha Baras Gaya
WO Tofan Tha Guzar Gaya
Mein Gulshan Tha Bikher Gaya
Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?
Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai
Youn Hosla Dil ne Hara Kab tha
Bin Sharab Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal usey aur Dekh Sakty
Ashkon ko mager gawara kab tha
Hum Khud B judai ka sabeb thy
Uska Hee kasoor Sara Kab tha
Ab auron k saath hai to kya Dukh
Pehly B koi hamara Kab tha....!!