W0h jisey neend kaha karte

W0h jisey neend kaha karte
W0h jisey neend kaha karte hai sab, chain ki neend . .
.
.
W0h tere baad kabhi aankh me utri hi nahi . .
  

May, 28 2010     108 chars (1 sms)     2905 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ae rab tera insaaf bhi kesa hai alam-e-haqaqi main,

samandr bhi use jase payas nahi or sahra use daya jase payas hai.
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Dil bohot udas hay
Woh baarguzre waqt
Ka nazar k aas paas hay

Wohi hawaa wohi fazaa
Jo tu naheen to kiya maza
Khile to hain chaman magar
Na rang hay na baat hay
Dil bohot udas hay

Kahan falaaa kahan zameen
Mileen ge hum yaqeen naheen
Yeh pyaar ki hay intaha k
Phir bhi teri aas hay
Dil bohot udas hay

Nazar nazar hikayaten
Nawazishen inayateen
Bohot hay yeh mere liye k
Tu wafa shanaas hay
Dil bohot udas hay
Dhadkan ke liye dil chahiye,
Dil ke liye pyaar chahiye,
Pyaar ke liye khushi chahiye,
Khushi ke liye yaar chahiye,
Aur yaar ke liye aap chahiye.
Socha Tha Tujhy
Tuut k Chahain Gy
Bohat Hum ...

Chaha Bhi Bohat
Jaana''n Aur Tuutey Bhi
Bohat Hum ... !!!
yeh tumhay bata dun may
chahaton k rishtay may
phir girah nahi lagti
lag bhi jai to ismay
woh kashish nahi rehti
eik pheeka pheeka sa
raabta to hota hay
taazgi nahi rehti
rooh k talluq may
zindagi nahi rehti
baat woh nahi rehti
dosti nahi rehti
laakh baar mil ker bhi
phir dil nahi miltay
zehen k jharokon may
yaad k dareechon may
titlion k rangon k
pho0l nahi khiltay
is liyay may kehta ho0n
is terhan ki baton may
ehtiat kertay hain
is terhan ki baton say
ijtinab kertay hain
apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
Roe is qadar wo meri laash sa lipth ker faraz...

agar is bat ka pata hota to kab ka mar gaye hotay..
Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

Yaar Say Gham Keh Ker To Khush Ho Laikin Tum Yeh Kya Jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nai Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh Jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga
Dolat-e-Dard Ko Dunya SE Chupa Ker Rakhna

Aankh Main Boond Na Ho Dil Main Darya Rakhna
Jo khud pe jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par aamada nahi hotey…/
Hum Log Teray Shehar Mein Khushboo Ki Tarah Hain Faraz

Mehsoos Tu Hotay Hain Dikhai Nahi Detay