Haqeeqat aashna mere...
Tujhy shayad khaber hoge
Mujhy teri muhabat ne
Bohat buzdil bana dala
Main har us shay se dartA hun
Tujhy jo cheen sakti hai..
Main un lamhon se darta hun
Judai jin main rahti hai
Main un ashkon se darta hun
Jo ban kar yaad bahtay hn
Main un lafzon se darta hon
Jo khamoshi main rahtay hn
Bicharney ki mere hum-dum
Main har surat se darta hun...
Tujhy shayad khaber ho gi
mujhy teri muhabat ne,
Bohat buzdil bana dala
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi
Le Gaya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-O-Qarar
Be-Qaraari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi To Na Thi.
Dost Ik Saahil Hai Toofano Ke Leye,
Dost Ik Aaaina Hai Armano Ke Leye,
Dost Ik Mehfil Hai Anjano Ke Leye
Dosti Ik Khawisht Hai Aaap Jaise Dost Ko Pane Ke Leye!
Muhabt ka asar ho ga galat fahmi mai mat rahna
Wo badly ga chalan apna galat fahmi mai mat rahna
tumhara tha''tumhara hn''tumhara he rahon ga mein
mere bare mai iss darja galat fahmi mein mat rahn