Phir say rog lagao tum

Phir say rog lagao tum
Phir say rog lagao tum

Mujh say raabtay barhao tum

Kaisay sub kuch bhoolay ho

Mujh ko bhi samjhao tum

Jaisay baarish sawan ki

Aik din aisay aao tum

Meinay jee bhar k rona hai

Mujhko khwab dikhao tum

Bohat kuch kho chukka hoon mein

AB MERAY HO JAO TUM
  

May, 29 2010     278 chars (2 sms)     3047 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ar wo lamha jo tuj sey juda hota hai. Chalti saanon k liye aik saza hoti hai. kaise samjaoon jahan walon ko ahdaab-wafa. Duniya rakoon tho mera ishq kaza hota hai.
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
kIYA HAI WADA USNE PAANCHWEN DIN AANE KA,
.
.
.
.
.
.
.
.

YE JANTE HUE K CHAR DIN KI ZINDAGANI HAI.
Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Teri Zaat Aur Mujh Main Ye Hi Farq Hy Zara Sa

Tu Hy Duurio''n Ka Qqa''il Main Hoon Qurbato''n Ka Pyaasa
Kitna Bhi Mukhlis Ho Jaoun Kissi
Se Bhi, Kho He Daita Hu Ussay .
Wajah Ban Ker Beach Meey Aksar
Kabhi Mera Mazhab Kabhi meri zaat ayi
"Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai."
Un Ko Namoos Bhi, Izzat Bhi, Pazeerai Bhi

Mujh Ko Roney Ko Muyassar Nahi Tanhai Bhi

Apne Hii Haal Pe Hansna, Kabhi Hans Kr Rona

Main Ba-yak Waqt Tamaasha Bhi Tamaashai Bhi
mgr kisi ne humain humsfr nhi maana....

ye baat or k hum sath sb k gaey,,,
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
sub ko maloom hai sub ko chord jana hai us ne.

pher itna payaar kuon kerta hai sub se..
Rafaqtoon k silsilay na toot jain kahin

.Kabhi kabhi milny ka silsila rakhna.

Maana k aor log be hain kareeb tumhary.

Magar meri zaat ko aoron say juda rakhna.