Lambe safar mein

Lambe safar mein
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
  

Jun, 04 2010     160 chars (1 sms)     3226 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo
Kabhi milnay milanay ka koi tehwar to aaey

Mujhe bs tooot k teri kami mehsos hoti hai..!
Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ya na pata tha aap sab se badi bewafaa hogi
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Ranj-o-alam..
Dard-o-gham…
Hasrat-o-yaas…
Mun ki piyaas……..
WahshataiN…..tanhaii.yaN
AansuoN ka bahr-e-bekaraN
Bekali-o-bebasi….
Dard-e-dil aur bekasi……
Kitni soghataiN dai gia…..
Mujh ko wo meraa faisla
khushi Mali tu keye dard mujhe Se Ruth GE
dowa Karo main pher Se udaz ho jano
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
Pyaar me ashk bahate kyu hain,

Do dil Ek dusre ko tadpate kyun hain,

Kehte hain pyaar zindagi hai,

Toh phir pyaar ko khel banate kyun hain..
Husn Jab Mehr’Baan Ho to Kyaa Keejiye,

Ishq Kii Magfirat Kii Du’aa Keejiye...
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
Ye share main ne lekha hai Pls batana k keysa laga......

""Kitna Jald log bdal jate hain "Ali"

Hum to guse me b adaat bdal na sakay""