yah kuch kam hay kay bassa

yah kuch kam hay kay bassa
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
  

May, 28 2010     97 chars (1 sms)     2621 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

nhi sajde kiye hum ne kabhi ghairon ki chokat pe..

hamen jitni zarorat ho KHUDA se maang lete hain..
Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle , mere dil ki baat.. tujhse ikraar
kar jaoon.
Pyar Ki Kali Sab Ke Liye Khilti Nahi,

Chah Kar Bhi Har Ek Cheez Milti Nahi.

Sacha Pyar Kismat Se Milta Hai,

Par Har 1 Ko Aisi Kismat Milti Nahi.
Kaash !!

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy

Mohabbato''n Ki Kitaab Tu Hy

Be-sabat Jaha''n k Rung Saray

Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy

Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan

Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy

Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere

Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy

Phool, Kaliyo''n Ka Khush-Rung Pairhen

Khushbuo''n Ka Hijaab Tu Hy

Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat

Meri Aankho''n Ka Khwaab Tu Hy

Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq

Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy ... !!
MAHAk TERi AAj BHi MERi SANSOn Me HAi
HAr Ek AD''Da TERi MERi ANKHo Me HAi.
To BHALAy MITa De APNe DIl Se MERa WAJOOd.
MAGAr TERi JAGAh AAj BHi YADOn Me HAi.
Husn-e-Soorat Ke ... Talab-Gar Buhat Hain...

Husn-e-Seerat Ka... Parsitar Hai.. Koi Koi
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha


Bat sajdoon ki nahi khaloos-e-niyat ki hoti hy IQBAL Aksar log khali hath laut atey hain her NAMAZ k baad
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
zindgi tum yaheen kahein rehna.

main zamana badal k aata hon..