Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa
niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa
Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa
kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa
poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa
maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...