Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa
kai baar sochte hai aapse kuch jajbaat kahe
aapse baya kare is dil ki tanhaiya
kabhi apni takdeed ki dushwariyo ke haalat kahe
par jab kabhi saamna hua nigaho se teri
hosh tak na raha apne wajood ka
gamo ki kya aukaat kahe...
bas tera hi najaara karti rahi ye nigahe,
aur khamosh se sab khyaalat rahe