rona

rona
Bohat “ROYA” kary ga Wo,

Hijar ki weeran Raaton mein,

~ ~

Hamari Qurbatoon k jab,

Saharay “CHOOT” jaen gey…

  

Jul, 26 2011     123 chars (1 sms)     11855 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aisa tu nah kaho tum meri jaan le lo
Karo tum wahda aur mera pegaam le lo
Bas dekhein gey dikhaein gey
Iss ke siwa kuch nah chahein gey
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
Phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
bhulane ki kasam kha k bhi main ne.
tujhe har rah main dhonda bohat hai.
ye ankhain aur kia dekhain kisi ko.
in ankhon ne tujhe dekha bohat hai.
najane q bacha rakhe hain ansu.
abhi shayad mujhe rona bhut hai.
tujhe malum to ho ga mere hamdam.
tujhay ek shakhs ne chaha bohat hai.
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan
Suno ...!!

Tumhay barsti hoi barishain...

Bohat pasand hain na..

To....

Aao dekho...

Aaj mukabala hai...

Rim-jhim barasti barish ka...

Mere aanson se...!
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
Sath Chalny ko Chalay Thy Dost Dushman sb ''faraz''

meri manzil Tak ka Saathi Sirf mera Saya Nikla.
zndgi se pocho ye kya chahti hai kitnimasoom r nadan hai ye, khud bewafa hai r wafa chahti hai!!!!!!!!!
Wo Na Aye Un Ki Yad Aa Kr Wafa Kr Gai

Un Se Milne Ki Tamannah Sukoon Tabah Kr Gai

Ahat Hui Socha Asar DUA Kr Gai

Darwaza Khola To Dekha Mazak Hawa Kr Gai.
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai hai wohi khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatir agar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha