tark-e-taulak ka mujhko bhi ghum nahi.

tark-e-taulak ka mujhko bhi ghum nahi.
tark-e-taulak ka mujhko bhi ghum nahi.
per dil yeh chahta hai keh aghaaz wo karain.
  

Jun, 01 2010     85 chars (1 sms)     2634 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Parastish ki Tamana hy

magr Hai re majboori

SANAM jiss se Trasha jaye wo pathar nhi Milta.
kash k wo bachpna hi rahta humare dermyan.

wo chup k rona sub se or phir khelonon se chup ho jana.
Muhabbat Hogai Mujhko
Ek Shaks Se Aisay
Jis Per Yaqen Nai Humko
Magar Phir B Najanay Kion
Muhabat Hogai Mujhko
Woh Ishq jo hum se rooth geyya ab uss ka haal batayyen kiya
koi meher nahi koi qeher nahi phir sachha shayr sunayyen kiya

Kia Uski Jagti AAnkhon Mein
Meri Yaad Se Pehli Udaasi Hai
Kia Wo bhi Meri Tarah Younhi
SHab Bher Jaga Kerta Hai
Kia WO b Saat-e-Rehmat Mein
Humain Rab Se Manga Kerta Hai
Agar Aesa nahi To Tuhi Bata
Ham Yaad Usey Kyun Kerte Hain
Wo Ham Ko Bhool Ker Khush Hai Agar
To hum Pal Pal Unke Liye Q Merte Hain
Janay kaun uthai Ga
Pabandi Taqdiroon se,


Ishq nirla mazhab hai
Janay kaun khuda Theray
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
Chupaana Raaz Iss Dil Ke
Agar Tum Choorh Do Jana
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Ager Tum Bol Do Jana
Tu Jeevan K Safar Main
Raasta Asaan Ho Jaye
Humare Paas Bhi Jeene Ka Kuch Saman Ho Jai
Warna Hum, Tumhare Dil Ke Darwaaze K Bahir
Aass Main Baithe Rahainge
Ke Kabhi Tu Band Darwaaze Ko Kholo Gi
Mere Shaane Par Sar Rakh Kar
Kabhi Dheere Se Bolo Gi
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai...!!!
Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko



Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko



Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko



Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko



Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko
tum mil jaate
phir kho jaate
to kuch tera gam bhi hota
mile nahi to
khona kaisa
teri yaad mai
rona kiasa
tum dubara anay ka taqlaf mat kerna
hum aik muhabat ko do bar nahee kertay
Apki muskurahatien kabhi kam na hon
apki ankhien kabhi nam na hon
apko milay zamanay ki har khushi
bhalay us khushi main hum na hon