Aap ko kahein ki Dil

Aap ko kahein ki Dil
Aap ko kahein ki Dil ko aur na satayein

Aap ko kahein ki Mill ke aag ek jalayein.

Aap ko kahein ki Khil ke mahak jayein

Aap ko kahein ki kya khata meri batayein.
  

Jun, 03 2010     170 chars (2 sms)     2730 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Tanhaioon Main Mujhay
Tairay Badaltay Tevar Pay
Apni Muhabbat Ki Paspai Pay
Maira Zoor Say Roo Daina
Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
Pyar Ki Kahani Tumhay Kia Sunaoun Farz
Hum Nay To Pyar May Apna Sab Kuch Luta Dia
Kismat mian muhbat bhi ajeeb mili.

usne muhbat ka agaz zara marne se pahle kya.
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi Ashkoo k eendhan main tumharey khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
Wo Sakhs Raat phir meri Hasti pe Cha Giya.

Itna Qareeb aya ky Dil main Sama Giya.

Wo iek pal jo de giya asoodgi ki kher.,

Jazboon ki tez dhoop main pagal bana giya,

Pehly mery Wajood pe Utra wo boond boond,

Barsa to phir ghata ki tarha mujh pe cha giya,

Wo jab mila to piyas se lab khusk thy mery,

Lota to hasratoon ko wo pani pila giya,

Paband kar giya hay mujhy lamhoon ki qaid main,

Ankhonn pe apni yaad ky pehray bitha giya..........
maine khuda se pucha
keemat kya hai pyaar ki
khuda bola
AANSU BHARI AANKHEIN AUR UMAR INTEZAAR KI..!!!
Kuch is tarah se torey han milny k silsily.

Sub naqsh apni yad k mita k chala gya.

Ma dhundta raha jisy milny k wasty

Wo shakhs mery shehr ma aa kr chala gya