mahobbat me mene

mahobbat me mene
mahobbat me mene kya kuchh nahi luta diya?mahobbat me mene kya kuchh luta nahi diya?unko pasand thi roshni!!or mene khudko hi jala diya.....
  

Jun, 05 2010     141 chars (1 sms)     2246 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Mein Ne Tujhe Chaha Kya Meri Yehi Khata Hai
Meri Chahat Ki Kia Yehi Saza Hai
Ek Lamhe Mein Badal Dali Nigahain Tumne
Bas Itni Si Mohabat Teri Itni Si Wafa Hai
sHamMA pArwane se kehti yeh ro kar

SHAB-E-HIJAR

Aaj ki rAat bachain gain to sehAr Dekhain Gain.
Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai
koe pal ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay..

main''fanaa''baqaa''k sabhi safar usi aik pal mein guzaar doon.
Teri yaadein ßhi,
tujh si zalim hain,

"SaNaM,

Jab dekhti hain
''TANHA'' hamein,
satane chali aati
hain,,,
Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai
gulon ne beruKhii kii hai to kaaNTon ne sambhaalaa hai

muhabbat men Khayaal-e-saahil-o-manzil hai naadaanii
jo in raahon men luT jaaye vahii taqadiir vaalaa hai

charaaGaaN kar ke dil bahalaa rahe ho kyaa jahaaN vaalo
andheraa laakh raushan ho ujaalaa phir ujaalaa hai

kinaaron se mujhe ai naaKhudaa duur hii rakhanaa
vahaaN lekar chalo tuufaaN jahaaN se uThane vaalaa hai

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaaN to bechane vaalon ne gulashan bech Daalaa hai
kab tak rotey raho gay apni kismat per dost.

yahan tu phool be rukh badal letey hain aksar shaam k bad.
Jab tu saath na hoti tab yaaddein hoti hai tere saath mere,
Mera harpal tere ek lamhe ke saath judaa hai,
Dhadkan thi meri par dhadakta ussmein naam tha tera.
agar hum hasraton ki qabar pe hi dafan ho jayen jana.

tu kutbe pe likh dena muhbat nar nahi sakti..
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Jo ab ye munkin nahi
Ku ki ye pyar to mere saso may basa hai, 2
To kya ab ye sase lena chor de.