Hum to wo log han jo
Na kisi k dast-e-shumar mein han
Na kisi ki nigah k hisar mein han
Yun jeise sadiun ka ho be-ant safar
Sehra sehra phirta koi khak basar
Kya puchte ho kon han hum
Ham to jugnu bi nahi han
K ksi ki ankh mein chamakte
Ham to ansu ki tarhan han
Ankh se tapke or dub gaey
Mohabbat ki aass mein
Garh se nikle or besimt musafat mein
Darbadar phirte huey
Ksi benam shaam ki nazar huwe..
Jab bhi unke ghar se gujrata hu,
hamari ankhen ek dastak de hi deti hai.
Dukh ye nahi wo darwaja bandh kar deti hai,
khushi ye hai ki wo hame pehchan to leti he.
Wo Janta Hai K Mujhse Sabar Nahi Hoga , Wo Mere Dard Se Bekhabar Nahi Hoga , Main Do Qadam Jo Chaloon Dil Pukarta Hai Yehi , K Tera Sath Na Hoto Yeh Safar Nahi Hoga