Dete ho kyu yeh dard

Dete ho kyu yeh dard
Dete ho kyu yeh dard bas humhi ko?Kya samjoge tum in aankhon ki nami ko,yuh toh honge lakho diwane is Chand ke,Chand kya mehsus karega Ek Taare ki kami ko. .
  

Jun, 07 2010     158 chars (1 sms)     2840 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
Mujhko Khayal hai k..... tu mera Khayal hai...
Aik Markz-e-Khayal...... tera kia Khayal hai?

Aata hai tu Khayal me....... is qadar Khayal se...
Tujh ko mere Khayal ka....... kitna Khayal hai
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
Teray Khaloos Nay Barbaad Kar Diya Hai Faraz

Faraib Detay Tu Kab K Sambhal Gaye Hotay
Meray haath main jo Gulaab thay.....
Woh Gulaab saare bikher gaye.......
Meri aankh main woh jo khuwaab thay.....
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye.....
Jisey main ne maanga tha baar-ha......
Woh hi shakhs mujh se bicharr gaya.....
Mera humsafar mujhe chorr ker.....
Kisi aur simt chala gaya....
Jisey saath dena tha umar bhar.....
Woh to do qadam bhi na chal saka......!!
Apki hansi badi pyari lagti hai,
Apki har khushi hume hamari lagti hai,
Kabhi dur na karna khud se hume,
Jaan se bhi pyari apki yari lagti hai..
Thora socha hai humne ...
thora jaana hai humne...

Mushkil se magar pehchana hai humne...
Koi aap jaisa na tha na hoga...
isliye dost aapko mana hai humney
soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raaat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz usse hum ne likha kuch bhi nahi

ik shaaam ki dehleez per baithe rahay woh dair tak
ankhoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi

ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub aag per kaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
Sawan Bhi Mere Tum Ho,Meri Piyas Bhi Tum Ho
Sahra K Badlon Ma Chupi Ass Bhi Tum Ho

Tum Yun To Buht Dor Buht Dor Ho Mujh Se
Ehsas Yeh Hota Hai Mere Pass Bhi Tum Ho

Har Zakham Ki Agosh Ma Hai Dard Tumhara
Har Dard Ma Tasken Ka Ehsas Bhi Tum Ho

Likhti Hn To Tum Hi Utartay Ho Qalam Se
Parhati Hn To "Al-Hamd" Se "Wan-Nass" Bhi Tum Ho!
Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker