Dukh fasana nahi

Dukh fasana nahi
Dukh fasana nahi k tujh se kahen,
aur dil b mana nahi k tujh se kahen,

ab FARAZ apna bhi us gali mein,
aana jana nahi k tujh se kahen.
  

Jun, 04 2010     140 chars (1 sms)     2829 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
Phool To Khiltay Hain Har Zameen Pay Magar

Sar-E-Keechar Jo Khilain Wo Kanwal Hotay Hain

Mohabbaton Main Daawon Ka Na Dilao Tum Yaqeen

Mohabbaton Main To Darkaar Amal Hotay Hain
Muhabat Ka Irada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Tumen Khona Bhi Mushkil Hai Tumen Pana Bhi Mushkil Hai

Udasi Tere Chehre Ki Gawara Bhi Nahi Lakin

Teri Khatir Sitare Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hai

Zara Si Bat Par Ankhen Bhigo Kar Baith Jatey Ho

Tumen To Apne Dil Ka Hal Batlana Bhi Mushkil Hai..
Vo bulian to kya tamasha ho
Ham na jaian to kya tamasha ho
Ye kinaroo sy khailny waly
Doob jaian to kya tamasha ho
Kabhi aanso, kabi khushbo,kabhi naghma bun kar
hum se har sham mili hai tera chehra bun kar

meri jaagi howi raato ko usi ki hai talash
so raha hai meri ankho mein jo sapna bun kar

raat b aye to bhujti nai chehray ki chamak
rooh mein phail gaya hai wo ujala bun kar

Dhoop mein kho gaya wo hath chura kar
ghar se jo saath chala tha mera saya bun kar.../
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
KHUDA Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay
Apni zat k mehwar mein tujhay gum kar loon
Ebadaton mein tera ishq raqam kar loon
Teray aanson say gar mumkin na ho wazu
Teray jism ki matti say tayamum kar loon
Yaqeen Hy K Tu Surat Agar Dikha Jaye

Mera Udas Jeevan Ko Qarar Aa Jaye

Tmhari Yaad Kch Is Trha Dil Se Lipti Hy

K Jese Phool Pe Titli Ko Neend Aa Jaye
Mila kro hamain Aksar k Jee nahi lagta
Tumharay Rabtay se Zindagi Wajood main Rehti hai
Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Gazal Ki Palkain Sawaar Lon.

Mera Lafz Lafz Ho Ayina Tujhy Ayine Main Utaar Lon.
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
Dost ne dost ko gulab bheja hai
taaro ne aasmaan se paigam bheja hai

ae hawao jakar kahdo bhool jane walo se
yaad karne walo ne salaam bheja hai