Nazm Uljhi Hui Hai Seeney Main
Misrey Atkey Huey Hyn Honton
Udtey Phirtey Hyn Titlyo''n Ki Trha
Lafz Kaghaz Per Beth''te Hii Nahi
Kab Se Betha Hoon Main
Koray Kaghaz Pe Likh K Naam Tera
Bas Tera Naam Hi Mukamal Hy
Is Se Behter Bhi Nazam Kia Hogi
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
kalyee mein soya kangan
shor machayae khankhan,
paoun ki payal barson se
ghumsum gumsum,
nach uthi rumjhum rumjhum.
labon pe tha hayah ka talaa
nutkhat aisa mere kaan ka bala....
bol gaya!
chipa ke rakha piya jee se raaz......
woh khol gaya !
piyar tou hai sajan jee
pur kehtae kehtae
Dil hamara dol gaya ........
Bicharty wqt us ne kha tha,
Na sawal krna na jawab mily ga,
mujy bhol jana qrar mily ga.
Hm us muqam pr thy,
Na swal kia na jawb mila,
na bhol sky na qrar mila
tum aao to sahi
ahlay dard ki mahfil may
palkay main apni bichaoo ga
bayshuk!
maray gahr kay bahir
patahr hai kahksha nahi
lakin!
kahas taray liay
main
dil ki galioo main
chahat kay phool pichaoo ga
tum aao to sahi
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
Bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........