neend ko aankhain krib hone nhe deti

neend ko aankhain krib hone nhe deti
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
  

May, 29 2010     78 chars (1 sms)     2717 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere Siwa Bhi Kai Rung
Khush Nazar Thay Magar

Jo Tujh Ko Dekh Chuka Ho
Wo Aur Kia Dekhey ... !!!
Na Lafz Itne Qadd-aawer
Na Tujh Si Koi Shey ...



Bayaan Kis Tarah Kerta
Tujhy Misaal Se Main ... !!
bechainyi hai sansoon me dard utha hai seeney me
bichar ker apne dilbar se aye maza na jeeney me
ayee.......mere dilbar agar tera saath nahi hai to
phir bhala hum kya ker rahain hain is duniya me
Har ek lamhe ka hisaab liya,

zindagi ko yun benaqaab kiya.

tanha-tanha jo pal guzare they,

teri yaadon se unhe phir aabad kiya.
Aitraf E roshni mera sitara Nhi
main
to
ek umer ki musafat se uski chahton ka aik B
JUGNO apni muthi main Qaid na kr saki
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein ...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein Khushiyan Muqadar Say Milti Hein Yahaan Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!!
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
jhalak
ankho
Ankho Se Door Dil Ke Qareeb Tha..
Mein Us Ka Wo Mera Naseeb Tha..
Na Kabhi Mila Na Juda Hoa..
Rishta Hum Dono Ka Kitna Ajeeb Tha..
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,

Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge
Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak

bhoolna chaha agar uss ko kabhi
Aur bhi wo yaad aya dair tak

bhookhey bachon ki tassali key lye
maa ney phir pani pakaya dair tak

jab mai roo ker muskuraya na dair tak

gungunata ja raha tha ik faqeer
dhoop rehti hai na saaya dair tak

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak
kaha us ne ke shaakhon se,

judaa phoolon ko karne kii

hawaaon ki jo saazish hai ,

use achchi nahi lagti

faqat ik pal ko jii chaaha

use itna to keh doon aaj

mohabbat

phool ki in pattiyon se barrh ke

naazuk thi

jise qadmon tale is ne

kabhi ka rond daala hai