*Khamoshi*

*Khamoshi*
*Khamoshi*
Kon Kehta Hai K Khamoshyan Khamosh Hoti Hain?

Khamoshyon Ko Khamoshi Se Suno..

Kya Pata,

Ye Wo Keh Jayen..

Jis Ki Aap Ko Lafzon Mei Talash Hoti Hai.
  

Jun, 02 2010     173 chars (2 sms)     30783 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chalo Is Shaam Koi Or Hi Qissa Sunatey Hain
Chalo Is Shaam Us Ko Hum Sirey Sey Bhool Jatey Hain
Chalo Is Shaam Koi Aney Wala Khawab Buntey Hain
Chalo Is Shaam Hum Kaliyan Nahi Kanton Ko Chuntey Hain
Chalo Is Shaam Jashn-E-Tergi Hans Ker Manain Hum
Chalo Is Shaam Us Ko Phir Sirey Sey Bhool Jyen Hum
Hua Kia Qasoor
Wajha To Bata Tere Jane Ki?
Dharkan To Chal Rahi hai Aur
Hai Aas Tere Aane Ki
Aakhri Sans Tak Kosis Keron ga
Meri Jaan Tujhe Manane Ki
jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
Jab teri yadoon ka dil main diya jalta hai
To doobtay suraj main chehra tera dikhta hai

ik hum hi dhar ba dhar phirtay hain warna
Ashyana to panchioon ko bhi roze milta hai

ik khawab jo dekha tha teri muhabbat ka
ab ban ke sheesha wo ankh main chubta hai
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
apny tarouf k liye etna hi kafi hai shakeeb

hum wo rasta chor daity hain jo aam ho jaeey
Khayal Tha K Hum Tujhe Raazdan Bana Lete

MaGar Ye LoG Nayi Dastan Bana Lete

Tu Ek Baar Mohabbat Se Dekh Leta To Hum

Zameen Khud Ko Tujhe Asmaan Bana Lete!

Ajeeb Hijar Parasti Thi
Us Ki Fitrat Main

Shajar K Tuutey Patty
Talash Krta Tha

Tamam Raat Wo Parde
Hata K Chaand K Saath

Jo Kho Gaye Wo Lamhe
Talaash Kerta Tha ...
Aaj kuch kami hai tere bagair,

na rang na roshni hai tere bagair,

waqt apni raftar se chal raha hai!

bus dharkan thami hai tere bagair,

na barish hai na dhuaan!

phir bhi dil mai tapish si hai tere bagair,

buhut roka hai baadal ko barsne se!

phir bhi aankhon mai nami si hai tere bagair....
Aey Qabristan Teri Aagosh maiN ItnA Sanata KioN hY

LoG TO Apni JaaN Dy kr Tujhe Abad Krty hAin...