idhar udhar ki baat na

idhar udhar ki baat na
idhar udhar ki baat na kar ye bta k qafla kis terha luta.

mujhe gila nahi rahguzar se mujhe gila teri rahbri ka hai.
  

May, 29 2010     120 chars (1 sms)     5457 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
"ZINDAGI"

Baray dukh bharay hain jana meri zindgi k lamhe
gar ho sakay to sunna meri dastan khudara

na mil sak athikana meri bekraryoon ko
kahin ro k raat kati kahin ro k din guzara.
Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak

bhoolna chaha agar uss ko kabhi
Aur bhi wo yaad aya dair tak

bhookhey bachon ki tassali key lye
maa ney phir pani pakaya dair tak

jab mai roo ker muskuraya na dair tak

gungunata ja raha tha ik faqeer
dhoop rehti hai na saaya dair tak

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak
Ati Hai Yad Teri, Rota Hai Dil Mera
Girta Hai Ju Bhi Anso, Banta Hai Nam Tera
Ajab
Soorat-E-Haal hoti ja rahi hy,

Raat k bad Raat hoti ja rahi hy,

Wo to ab B Mukamal hy Pathar ki tarha,

Reza Reza to meri Zaat hoti ja rahi hy,

Main to Aaj B Tanha hun Kal ki tarha,

Sari Kainat to
Jan-E-Wafa k sath hoti ja rahi hy...
Naam Na Lena Qasid Faqat Itna Hi Keh Dena,


Jinhy Tum Bhol Bethy Ho Wo Aksar Yaad Krty Hai
zindagi se derte hoe?zindagi to tum behe
zindagi to hum behe zindagi se derte ho!
Ji tu kerta hai ussay muft mai jan de don mohsin...
Itnay masoom kharedar say kia lena dena...
niklta hi nhi mera wjood tri yad se..

mil kyu nhi jata akhir tu kisi fryad se..

kya zruri hai mai roz toot k bikhra krun..

na le mera imtehan is andaz se.
Woh
Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Mai
Sochtee Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe "Pagal" Kyun Kehta Hay
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein
Sapno ki duniya hai nirali,
Har taraf rehti hai hariyali.
Par asli duniya ki khabar rakhne wale jante hai,
Isiliye woh sapno ko sach nahi mante hai.