Tute Dil ka har

Tute Dil ka har
Tute Dil ka har Tukra ye Kehta hai
Pyaar na karna
Pyaar to bas ek dhoka hai
  

Jun, 05 2010     78 chars (1 sms)     6629 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Chaand Ko Sitaaro''n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Phoolo''n Ko Baharo''n Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Mehfil Main Jo Milna Nigahain Jhuka Lena

Koi Samajh Na Paye K Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Ab Tere Hijr Main Bas Ek Kaam Hai Aasman Takna

Tum Sitaaro''n Pe Likh Dena Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Hai Humain Bhi Ehsaas Tum Ko Bhi Hum Se Pyar Hai Lekin

Ye Mere Rubaru Kehna Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Kabhi nazren milane me zamane beet jate hain,
Kabhi nazren churane me zamane beet jate hain

Kisi ne ankh b kholi to sonay ki nagri me,
Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hain

Kabhi kaali siyah raaten hamen ek pal ki lagti hain
Kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hain

Kabhi khola jo darwaza to khari thi samne manzil
Kabhi manzil ko paane me zamane beet jate hain.../
Aisa Duuba Hoon Teri
Yaad K Samandar Main

Dil Ka Dharakna Bhi Ab
Tere Qadmo''n Ki Sada Lgti Hy !!!
Koi ROKAR
Juda Hota He

Koi HASKAR
Juda Hota He

Par Juda Hone Ka GUM
Tab Hota He

Jub Koi APNA
Hokar JUDA Hota He
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Sirf yaadon ka ek silsila reh gaya,

Khuda jaane unse hamara kya rishta reh gaya

Ek chand chup gaya jaane kahan

Ek sitara usey dhundta reh gaya.
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
MOHABBAT Kya Hai?

Urdu Nay Kaha
Bewafaon Ka Khel Hai

Maths Nay Kaha
Khushi+Ghum

Islamiat Nay kaha
Ibaadat Hai

Geography Nay Kaha
Diloun Ki Serhadein Open Kernay Ka Naam Hai

Science Nay Kaha
Do Diloun K Darmian Kashish Hai

History Nay Kaha
Taj Mahal Ka Dusra Naam Hai

Aur Ap Kia Kahte Ho..?
tumhe to naz boht dosto''n py tha "jalib"

alag thalag sy ho kia baat ho gaei piaray.
Tanhayi to aur ek tanhayio ko dost banatey hai,
Dost jo dosti ki kasam nibhatey hai,
Eh dost tu mujhe chor na jana
Hum to apna sarey gham tujpey utaar detey hai
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......