be-zuban

be-zuban
Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,

Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
  

Jul, 21 2013     159 chars (1 sms)     2102 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
Tum Meri Yad Me Sulgo To "Bura" Lgta Hai.

Tum Meray Didar Ko Tarso To "Bura" Lgta Hai.

Ik Tamanna Hai Faqat Mujh Pe Mehrban Reho.

Tum Kisi Or Ko Dekho To "Bura" Lgta Hai.
Jo ab ye munkin nahi
Ku ki ye pyar to mere saso may basa hai, 2
To kya ab ye sase lena chor de.
chahay kassa mossam ho
chahay kassa b din ho
koi afsurda bat ho ya chahay koi b ghum ho
himatain nhi khona tum udas mut hona
zindagi k rastay main mushkilain to atti hein
sath chorr daitay hein
jo hanssi k sathi hein
muskurahatain magar nhi khona
tum udas mut hona
Dharas hamain bandhata tha dam Benazir ka...
Ta dair ab rulae ga gham benazir ka...

Daar-e-fanna se shehar-e-baqa muntaqil hue...
Maskan hua ha mulk-e-adam Benazir ka...

Us ne baray waqaar se ke zindagy basar...
Sir kr ska na koe b khum Benazir ka...
Yahan Mazdur Ko Mernay Ki jaldi Youn B hai Mohsin...

K zindagi Ki KAshmakush Main Kafan Mehnga na Ho Jaey...
Lakeer Merey Haath Ki..

kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer.. !
Utha kar pho0l ki patti nazakat se masal dali...
Phir Ishare se kaha hum dil ka aisa hal karte hain
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Shab-e-Tanhai
Usey Kehna

Humari neend Laut
Dy
Humara Chain Lauta
Dy
k
Uski Yaad Me
Be-hadh Aziyat Hy

Ya Apne Naqsh Dho
Jaye

Ye Phir !

"MERA HO JAYE"
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain