ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k

ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k
ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
  

May, 27 2010     111 chars (1 sms)     4838 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

un ankhon mai bhi halki si nami rehti hai...

baat krte hain jo aurun ko hansaney k liye..
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
Sab kuch hai Pr dil ki dawa nahi

Dur mujhse hai Pr mein khafa nahi

Malum hai ab bhi chahti hai mujhko

Vo thodi ziddi hai Pr bewafa nahi.!
aansoo bhi dil ki aag ko thanda na kar sake

wasi

barish ke bawajod bhi jalta raha makan.
Roe is qadar wo meri laash sa lipth ker faraz...

agar is bat ka pata hota to kab ka mar gaye hotay..
Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum...
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum
~tum bin ~
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k ,
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k .

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos ,
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k .

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay ,
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay .

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka ,
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k .

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin ,
Daikhtay hain yeh aziat bhi gawara ker k ..!
Kabhi hum pe wo jan diya karty thay*



Jo hum kehty thy wo maan liya karty thay*



Aj pas se anjan bun kar guzar gaey*



Jo door se hi pehchan lya karty thay...->?
yeh sach hai keh tum mari zindagi ho.
zindagi ka magar bahrosa kya
Kafan na Pehnao mujhe abhi Muskuraana baaki hai,

Janaaza na uthao mere kisi ki aana baaki hai,

Ke Nazar pher lo Farishto abhi mujse,

Abhi to uska hum se Nazar milaana baaki hai.
Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka

Mujhe Ahaton Kii Talash Hai

Ye Sitarey Sab Hain Bujhey Bujhey

Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai

Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka

Mere Raston Se Guzar Gaya

Mujhe Kab Se Rait K Shehar Me

Barishon Ki Talash Hai

Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”