mohabaton mai yehi khouf kyoun musallat rehta

mohabaton mai yehi khouf kyoun musallat rehta
mohabaton mai yehi khouf kyoun musallat rehta hai

mohsin...

kahin mere siwa kisi or se to mohabat nai usey...
  

May, 27 2010     116 chars (1 sms)     2240 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

TuM Ko ehsaS-e-NaDaMaT Ho To Bus Itna KaRna.!

MeRe BaaD Kisi AuR Ko Yun Na RuSwa KaRna.~!
"Tum Rehti Ho !!!!"

itni bari in dunyaaon main
apne naam ki takhti waali aik imaarat
kitnay dukhon ki eenten chun kar
ghar banti hain.......
pathar pathar jorr k dekho
mai ne bhi ik ghar hai banaya
rangon,phoolon,tasve eron se iss ko sajaya
darwaaze ki loh per apna naam likhaaya
lekin iss k har kamray main
"tum rehti ho"
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Maine kaha ke mehfil gair se khaali chahiye...!!!

uss ne kia ishara aur mujh ko he utha diya...!!!
uski ankhon me nazar aata tha sara jahan muj ko..

wassi

magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nhi..
wo rat ka be nwa musafir wo tera shair wo tera"nasir"

teri gali tk tu hum ne dekha phir na jane kadhar gia wo..
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
ek pakiza muhabbat k talabgaar they hum
azma kr dekhty buhat wafadar they hum

humney b daman ma kushioon ko samaitna chaha
shayd isi khuwahish k gunahgar they hum
~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
Usay kehna
agr milna nahi asan

to likh bhejay wo kesa ha?

Bohat dino se ye dil udas rehta ha

Tabiyat bhi machalti ha

Kabhi thokr jo lgti ha

Dehan mera najane kyu
usi ki simat jata ha

Usay koi pathar
koi kanta lga na ho

KHUDAYA wo slamat ho

Usay kehna agr milna nahi asan to likh bhejay wo kesa ha?
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye

Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intezar Mien Kahin Sham Na Ho Jaye

Nahi Laite Hain Uska Naam Sar’e Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye

Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye

Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Usk Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye