apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
saada se ik chehray per
kia jaduger si Ankhain hain
jo dekhay in ka hojaye
jo utray wo kho jaye
kitnay sapnay jag rahay hain
in palkon k saye saye..
shama seher si ,chara gar si,
namar barsi Ankhain hain
anjani pahchani si
apni aur begani si
aik hi manzer ka hissa bhi
aks bhi hairani bhi
sahil jaisi lagty hain wo aur bhanwar si Ankhain hain
saada se ik chahray per kia jadooger si Ankhain hain
Hum To Har Ek Ko Apna Kar Risht Banate Gaye
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai.
Gunehgar Koi Aur Tha Hum Saza Pate Gaye
Raat kya dhali sitarae chale gaye ,
gairo se kya kahe hum jab apnae hi chale gaye ,
jeet to sakte te hum bhi ishq ki baazi ,
par usko jetaane ke liye hum haarte chale gaye!!!!