Pehle chitthi k badle

Pehle chitthi k badle
Pehle chitthi k badle taar aata tha,

ek bulave pe mera yaar aata tha.

Ab padh kar delete karte hai mere sms ko,

kabhi har SmS ka jawab aata tha
  

Jun, 04 2010     152 chars (1 sms)     3273 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chaand utara tha hamare aangan,
par taaro ko ye gawaara na tha,
ham to kar dete taaro se bhi bagawat ,
par kya kare, woh chaand hi
hamara na tha
Woh waqat woh lamhe Hasin honge,
Duniya mein hum khush Naseeb honge,
Dur se jab itna yaad karte Hain aapko,
Kya haal hoga jab aap kareeb honge.
Khaab mai bhi gar tumhe kho dete hain,
judaai ke khayaal hi se ro dete hain,
ye ab jaa kar jana humne..
log muhobatt mai jaan kyo dete hain...!
tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
Meri aankho me apna chehra dekh lo,
yaha aaino ka bazar nahi hai,
in labo pe hamesha muskan rakhna,
yaha aansuo ka koi khrid dar nahi hai.
khamosh lahjay main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Kal Shaam Tere Ghar Qiyaam Kis Ka Tha
Na Tha Koi Musafir To Ehtmam Kis Ka Tha

Likh Likh Ke Choomti Rahi Jisko Raat Bhar
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha

Jis Ko Sun Kar Ro Pare Ehl-E-Mehfil
Itna Bheegta Hoa Anjaam Kis Ka Tha

Hamien Pee Ke Hosh Na Raha Saqi
Wo Hath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha
Agar Zindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aati na hoti,
Sath gujara hota har lamha,
Toh shayad rishto mein itni gehrai na hoti.
Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai.
Na Zindigi Kay Lia na Mout Kay lia Waqar rukta Nehe Kise Kay lia,
Qadam do Qadam sabi sath chaltain hain sath chalta nehe kio Zindigi Bhar Ka lia
tre bina zindagi se koi shikwa nahi..

tere bina bhi lykn zindagi,zindagi nahi.