Pyar kiya to unki mohabat

Pyar kiya to unki mohabat
Pyar kiya to unki mohabat nazar ayi,

dard hua hume to palke unki bhar ayi.

Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,

dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
  

Jun, 04 2010     168 chars (2 sms)     2387 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere aankhoon mein aansoo aaye toh roone lagta hai mera dil,
Dard-e-dariya tujhe choone se pehle,
meri dhadkano ko unnpe vaarne lagta hai mera dil.
"Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai."
Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Mere Wajud Mein Wafa Ki Roshni Utaar De
Phir Itna Pyar De,Mjhe Chahto Mein Maar De

Bohut Udas Thi Uth K Tere Pas Aa Gaye
Kuch Aisi Baat Kr Jo Dil Ko Qarar De
Tere Siwa Bhi Kai Rung
Khush Nazar Thay Magar

Jo Tujh Ko Dekh Chuka Ho
Wo Aur Kia Dekhey ... !!!
wo sari batten khwab huin
or khwab se phir azab huin
jab tumko saba k jhonky se
pegham hmara milta tha
jab meri ek nazar se hi
chehra ye tumara khilta tha
kuch Yad sa tum ko hai Jana''n
Wo Mudaton Baad Mila Aur Mera Naam Bhool Gia

Jaate Hue Jis Ne Kaha Tha Tum Yaad Bohat Aao Ge
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
kabhi tota nahi mere dil say teri yaad ka talisam faraz guftugu jis say bhi ho khayal tera hi rehta hai
mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
Mai Os Ko Tamasha Sa Bana Deta Hoon Aksar

Jo Dukh Meri Bardasht K Andar Nahi Rehta

AMMI Ne Kaha "Jhoot K Paawo Nahi Hotay"

BABA Se Suna "Sach K Liye Sar Nahi Rehta"

DoRaahay Pe Chup Chaap Kharra Toot Raha Hoon

Mai Khud Ko Bachaoon To Mera Ghar Nahi Rehta

Mai Ne To Tere Shehr Mai Kuch Khair Na Dekha

Tu Ne Muje Likha Tha "Yahan Sharr Nahi Rehta" o_O