hawa jab sard patton ko

hawa jab sard patton ko
hawa jab sard patton ko juda shakhon se karti hai,
to humain tum se bichar jana bhut yaad aata hai ....
  

May, 29 2010     105 chars (1 sms)     6150 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Basaoon Ga main kya Ujray Gharon ko?





Mera apna asasa *Be Basi* hy
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
yeh jaan kar khushi hui k ussay b mere dukh dard ka ehsaas hai,

jana

aaj us ne keh jo diya aakhir tum mar kyun nahi jaate.
Kuch Khatakta Tou Hy Pehlu Mein Mere Reh Ker

Ab Khuda Janey Yaad Hy Teri Ya Dil Mera ... !!!
ek baar osay sochain to ho jao shifa yaad,

ye payar bhi keya cheez hy marne nhi deta.
Bari chaah hai Dil ko tujhy paanay ki".

Tujhy Apna k tera ho jaanay ki".

Teri zaat k Reshay Reshay main Bikhar jaanay ki".
TANHA HO KABHI TO MUJAY DHONDNA
DUNYA SE NAHI APNE DIL SE POCHNA
ASS PAS HE KHEN BASTEY HAIN HUM
HMARI YAON SE NHI SATH GUZRE LAMHON SE PUCHNA.
Ab Mein Samjha Us Ki Chamakti Aankhon Ka Raaz
Wo Rota Nahi Aansoun Ko Qaid Kar Laita Hai
Na Pooch Kitna Lutf In
Musafato''''n Main Hy

Tera Ghar Ab Bhi Meri
Rasto''''n Main Hy

Sardiy''''n Ki Raat Main Wo
Chaand Dekhna

Teri Pasand Ab Bhi Meri
Aadato''''n Main Hy
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye
Apne aaghaz se ajj tak zindagi teri
Hi yaad mein gum rahi...
Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai
Jaise chahat meri kam rahi!