Tumhari Yaadon Ki Barf Baari Ka Mosam..

Tumhari Yaadon Ki Barf Baari Ka Mosam..
Tumhari Yaadon Ki Barf Baari Ka Mosam..

Sulagta Raha Dil K Anndar Akaily..


Socha Tha jee Laingay Tujh Se
Bichhar k..

Guzrta Nahi Bus Ek December Akaily ;->
  

May, 28 2010     170 chars (2 sms)     4864 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
ay kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
teri aankhon main halkore khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
main jaan tu gaya hon apne jeene ki wajha.

per wo khuda se mere marne ki dua kaoun kerta hai.
Wo Meri Pehli Mohabbat, Wo Meri Pehli Shikast..
Phir To Paimaan-e-Wafa Sau Martaba Main Ne Kiya!
kiya mila use mire dunya ujar kar
woh bhi tanha phir raha hai mujhe tanha chor kar
Ajab IkhtiLaaf Tha Hamari mohAbAt mAin,




wo jisAm ka Pujari tha Aur mAin rooh Ki,
main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..

tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra...
Main Tujhay Dhoondnay Yaadon ki khuli sarkon pay

Khushk patoon ki tarah rooz bikhar jata hoon.
Uss k tou ang ang mein jalnéy lagey diyéé

Jaadoo hey maréy haath mein mujh ko pata na thaa
Chalo khuwab ankhon
me saja kr dekhtay
hain,


Chalo hum kisi ko apna
bana kr dekhtay hain,


Khoon k rishton se
atibar to uth gaya,


Chalo benaam rishtay
bana kr dekhtay hain,


Zindagi asaan ho jaye
shayad hamri,


Chalo hath ki lakeerain
mita kar dekhtay hain,


Andheri shab to kisi
surat katti nahi,


Chalo ghar apna jala kar
dekhtay hain,


Hamay maloom hai k
yum ne hamara hona
nahi,


Chalo tum pr ye zindagi
luta kar dekhte hein.-:>
merey dil mein ik sawal hai, kya urooj hai kya zawal hai, Jo mein pust hoon to hai meri khata, Jo buland hoon to Ya Rub tera kamal hai