Aey Chand Ki Kirnoon Jao Na!!!

Aey Chand Ki Kirnoon Jao Na!!!
Aey Chand Ki Kirnoon Jao Na!!!
Tum Us Ko Choo Kar Aao Na
Woh Kub Kub Kia kia Karti Ha
Woh Jagti Hai Ya Sooti Ha
Woh Kis Say Baatein Karti Ha
Woh Sham Ko Kesi Lugti Ha
Woh Raat Ko Kaesi Dikhti Ha
Aey Chand Ki Kirnoon Jao Na!!!
Jub Woh Sooay Kesi Lugti Ha
Jub Jagay Kesi Dikhti Ha
Tum Chupkey Chupkey Jao Na
Tum Us Ko Choo Kar Aao Na
Mein Us K Bin Adhura Hoon
Or Jeena Dush War Lugta Ha
Tum Kaan Mein Us K Keh Dena
Koi Yaad Usay Bohut Karta Ha
Aey Chand Ki Kirnoon Jao Na!!!
  

Oct, 26 2011     473 chars (3 sms)     2916 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aisay main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay
aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay
Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!
uss badnasib-musaafir ki qismat ko kya kahen

mohsin

dam torr diya jis ne manzil k saamne...
RaaT Mein Yun SaJJ-DhaJ KaR ChhaT Par Na Jana TuM!


ShehaR Mein EID Ki Tareekh BaDaL JayeGi.~!
Tum Ne Roti Hui Aankho''n Ko Hansaya Aksar

Is Se Barh Ker Bhi Koi Aur Ibadat Ho Gi . . . ! ! !
Meri Palkon Ki Chokhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere Aansu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!
Dil ki baat keh pana hai mushkil,

jisko chahte hai use pana hai mushkil.

Waqt k hatho mujbur hai kuch is kadr,

unhe batana aur khud ko samjhana hai mushkil!
mulaqatein musalsal hoon to dil chaspi nahin rehti....

baray dil chasp hotay hain yeh be tarteeb yaranay....!!
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Wo Silsily Wo ShoQ Wo Qurbat Nhi rhi.

Phir Yun Hua K Dard Me Shidat Nhi Rhi,

Apni zindgi mai Hogya Masrof Wo Boht,

Or Hum Ko Yad Krny Ki Fursat Nhi Rhi..

Tamam Umar Mujhe Tootna Bhikarna Tha....

Wo Meherbaan Bhi Kahan Tak Samet Tha Mujhe....
Nigah Azal sy pyasi ha or kuch b nhi,
Sari Dunia hi khafa c hy or kuch b nhi,

Gham-e-jana hy Na gham-e-dunia"

Aik bay naam udasi hy or kuch b nhe.
Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
Ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.