Na tujhe chorr sakte hain

Na tujhe chorr sakte hain
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte

Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai

Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko

Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin

Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo

Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
  

Jun, 04 2010     527 chars (4 sms)     2788 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti
Raqs Karti Hain Gardish-e-Dauran,
Dar Khulay Hain Sharab Khano K,


Chai Peenay Ko Ab Kahan Jayen Faraz,
Bund Hogaye Hain Hotal Pathano K..
Tumein Khabar Hi Nahin K Koi Tooot Gaya


Mohabatton Ko Boht Payedar Kartay Huwey
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen..
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah...
dabona chahti thein jo mohabbat k safeenay ko,

inhein lahron mein tha sahil na tum samjhay na hum samjhay...!
Teri Wafa Ko Humne Bhulaya Kab Tha
Din Judai Ka Dilse Mitaya Kab Tha
Wo Dil Laga Ker Bhool Jana Teri Aadat Thi
Humne Tere siwa Kisi aur ko chaha kab tha
Ulfat Me Kabhi Yeh Haal Hota Hai
Aankhe Hasti Hain Aur Dil Rota Hai
Maante Hain Jinhe Hum Manjil Apni
Humsafar Uska Koi Aur Hota Hai!
Apni Be-Basi per Aaj Rona Aaya
Dosron Ko Nahi Mein Ne Apno Ko Aazmaya
Her Aik Ki Tanhaoi Door Ki Mein ne
Lakin Khud Ko her Mor Pe Tanha paya
Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha,

usko ranj najany meri kis baat se tha,

la-taluq raha wo bhi auron ki tarha,

Jo achi tarha waqif meri zaat se tha.
teri yaad hamein jeene nhi deti,
reh reh ke rolati hai sone nhi deti,
jab kabhi hansi laboon pe aati hai,
teri yaad ke sath voh bhi chali jati hai,
ujhra chaman hai mera banjhar hai es ki zameen,
yeh inaam mile hain teri mohabbat mein hameen,
jab kabhi verane ko aabaad karna chahte hain
le ke tera naam jee bhar ke ro lete hain,
mujhe gawara hain yeh tanhaiyaan yeh veraaniyaan,
mere mehboob tune diye hain bare kam khazane hameen,
teri yaadoon ko dil mein basa ke palkoon pe motiyun ko saja ke,
jee rahe hain MAHEK teri yaadoon ko apna bana ke.