Kachi Deewar

Kachi Deewar
Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko



Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko



Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko



Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko



Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko
  

Jun, 04 2010     594 chars (4 sms)     2809 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker
Do jumloN main simti hai dastan mohabbat ki

Usy toot ke chaha aur chah ke toot gaye hum !
Alfaazo ki baat na karoo
Yunhii afsaane ban jaate hai
Milti hai aap se nazree jab
Yunhi jaam jhalak jatee hai
Sambhaaliye is chaand se chehree ko

Ab alfaazo mai kia biyaan karo
Mera din tu hoa shoro abhi

Jab se hoi yeh raat shoro.../
mere marne marne pe sab khush hoon ge..

AMIR

Bas ek tanhai roya gi ke mera hamsafar chal basa..
Yeh soch kar us ki har baat ko sach maana hai Faraz...



Ke itnay khoobsurat lab jhuth kaise bolain gay...
Mere Be-rabt Khayalat Main Kia Rakha Hai?

Main Tou Pagal Hon Meri Baat Main Kia Rakha Hai?

Baandh Rkha Hai Tumhari Yaad Ne Maazi Se Mujhy

Werna Guzry Huey Lamhat Main Kia Rakha Hai?

Tum Miley Ho Tou Ehsaas Hua Hai Mujhy

Tum Alag Ho Tou Meri Zaat Main Kia Rakha Hai?
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya,

Jo pyar karne pe majbur na kar de wo ikrar hi kya,

Intezar to sab karte hai,

Sanse tutne tak jo saath na de wo yaar hi kya........;->
Is Se Bhar Kar Apnay Itezar Ki Kya Misaal Doon

FARAZ

K Marne K Baad Bhi Ankhain Khuli Raheen
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye
hum cheen lenge tumse ye shaan-e-beniyazi.

tum mangte phiroge apna guroor humse.
Hazaron Tukery Kiye Us Ne Merey Dil K Magar Faraz..



Khud Hi Ro Para Her Tukrey Per Apna Naam Dekh Kr....!!!
kuch log bhul kr b bhulaey ni jate
aitbar itna k aazmaey ni jate
ho jate hain dilo pr is tara musalat
k naksh un k chah kr mitaey nahi jate