Na Ghazal Likhoon Na Nazam Likhoon

Na Ghazal Likhoon Na Nazam Likhoon
Na Ghazal Likhoon Na Nazam Likhoon
Tujhe Kia Mere Main Sanam Likhoon


Tere Naam Per Dil Dharkta Hai
Ese Ishaq Likhoon Ya Alam Likhoon
Tere Naam Se Meri Zindagi
Tujhe Tu Likoon Ya Hum Likhoon
Arman Ishaq Main Shad Hoa
Tere Piyar ko marham Likhoon
  

Jun, 01 2010     256 chars (2 sms)     9177 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

shayad kisi k dil ka chaman...phir say ujher gaya
phehla hova hai soogh sa...her aik dal per
kush fehm hoon magar......yah khabar hai mujay zaroor
"wo" deer tak hansay ga meray dil k haal per
yeh aur bat ho gee k ezhar na karey
heran toh wo ho ga meray iss kahyal per
Bojhal nazar aati hain Bazahir mujy lekin
Khulti hain Boht Dil mein Utar kar Teri aankhein

ab tak Meri aankhon se Mitaey Nahi Mit''ta
bheegi hui Shaam ka Manzar Teri aankhein...!!
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye
jo banta raha humri nayoton ko jaan kar bhi rahmtain.

aaj hum ne hi us khuda ko ferqoon main baant daya.
Hum Dard ke Maron ka,
Hum Dard ke Maron ka,
Itnaa Hi Fasanaa Hai
Peene ko Sharab-e-Ghum,
Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilauna Hai,
Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa Hai

Deten Hai Duwaaen Hum,
Duniya ki Jafaaon ko
Kyoon Oonko Bhulayen Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa Hai

Hans Hans ke Baharen To,
Shabnam ko Rulaati Hai
Aaj Apni Muhobbat par,
Dariyaa ko Rulanaa Hai
tu jo bichry to mily dard qyamat jesa
tujh se kesa ye ta,luq hy muhabat jesa
jisy chaho usy ehsas-e-khudai dy do
silsila piyar ka rakho to ebadat jesa
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
Pyaar aapka meri aankkhon mein chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..
Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Ghalat Fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Wafa Ka jo Ehad Humne Kia Wo Tor Mat Dena
Suno Haalat Kuch Bhi Hoon Chorh Mat Dena
Humare Paas Reh Jaye Bas Yaado''n K Sarmaya
Humari Chahat Ko Aisa Mor Mat Dena
Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya

Ab Hum Ne Rona Chor Diya

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya

Ab Hasna Hasana Chor Diya

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye

Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya

Tum Rootha Karte Thay Hum Se

Ab Hum Ne Manaana Chor Diya

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain

Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya
Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai,hame unse kehni kuch baat baki hai,maut aayegi to keh denge zara ruk abhi maray dost se ek mulakat baki hai.