Suna Hai PHOOL KALIYOON

Suna Hai PHOOL KALIYOON
Suna Hai PHOOL KALIYOON Se Tumahin Rab Ne Banaya Hai
Haamin Bhi Thori Si KHUSHBO Churane Ki Ijazat Ho
Suna Hai Teri AANKHOON Main Sitaraoon Ka Basera Hai
Hamain Is ROSHNI Se Ghar Sajane Ki Ijazat Ho
SHARARAT Se Bahre Yeh DIN Bari MADHOSH Hain RATAIN
HAWAIN Aa K SUNTI Hain Hamare PYAR Ki BATAIN
Suna Hai PYAR Main DIL Per Koi QABU Nahi Hota
Yeh Sari CHAHATAIN Tum Per LUTANE Ki Ijazat Ho
TAMANNA Hai Tumahre PYAR Main MASHOOR Ho Jaain
HAMAIN Tum Is Qadar CHAHOO K Hum MAGHROOR Ho Jain
Suna Hai PYAR Main Yeh DORIYAAN Acchi Nahi Hoti
KAREEB Aa Ker UMIDOON Ko JAGANE Ki Ijazat Ho
  

Jun, 03 2010     588 chars (4 sms)     2836 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ansuo ko bahut Samjhaya tanhai me aya na karo,
Mehfil me humara mazak na udaya karo,
ispar ansu tadap kar bole,
itne logo me apko tanha pata hoon isiliye chala ata hoon
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hy
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Youn To Baat Kuch B Na Thi Muger Uss Ka 1 Dam.

Honto''n Pe Hath Rakh Kar Rokna Acha Laga......(
yeh jaan kar khushi hui k ussay b mere dukh dard ka ehsaas hai,

jana

aaj us ne keh jo diya aakhir tum mar kyun nahi jaate.
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
us ne basya bhi tu apni aankhon main sagar.

roti tu beegh jata khushk hoti tu zakhum lagte..
Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikhakar,

h0ti hai chahat kya ye muje samjakar.

Qurbani hai pyar ka asli matlab,

chh0d diya saath mera bas itna bata kar.
Jalti bhujti dhoop me sard hawa me rehna seekh lia,
Us se bichar k hijr ka ik ik mosam sehna seekh lia

Sahil sahil takra k jab choor hue to hum ne b,
Darya ki lehron me lehrain ban kar behna seekh lia

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai ye jan lia,
Apni aap se apni sari batain kehna seekh lia

Nai nawaili tanhai ki bahain dal k bahon me,
Rat gaye tak nehr kinaray baithay rehna seekh lia...