mein jiss mae kadey m

mein jiss mae kadey m
mein jiss mae kadey mein pahuncha khuda khuda kar k,

Nikla wahan sey na kissi sey wafa kar k,

aur apa hee mein dushman ho gaya,

O bewafa ik tujh sey wafa kar k
  

Jun, 02 2010     169 chars (2 sms)     2595 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ae RUB tu hi bata main khud ko kis chala raha ho zindgi k mutabiq.

aik shakhs mujh se mere jeene ka anaaz maang raha hai..
woh kahti the ki
suno !
Mohabbaton main dooriyan
Mohabbaton ko or Mazboot bana deti hain
laikin
isse shyd yeah khabarr nhi hai
keh Fasle..
Dilon par bane Naqsh be to Dhundla dety hain
Ek Arzoo Jo Karon Tou
Naraz Mat Hona

Koi Guftugu Jo Karon Tou
Naraz Mat Hona

Mana K Bohat Duuriya''n
Hyn Magar

Mohabbat Be-intiha Karo''n Tou
Naraz Mat Hona
Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka Intizaar Hai
Is Se Pehle Ki Dilo Me Nafrat Jaage
Aao Ek Shaam Mohabbat Me Bita Di Jaye
Karke Kuch Mohabbat Ki Baatein
Is Shaam Ki Masti Badha Di Jaye
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata
Yu yaad na karke saza na dijiye
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
Tum Se Meri Baat Hui Thi
Tum Ne Mujh Ko Samjhaya Tha

Apni Zaat Se Baahir Niklo

Ghar Ko Loto
Ghar Ko Dekho

Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hn
Tum mein Apni Saari Khushiyan

Dekh rahay Hain
Soch Liya Hay

Dekh Liya Hay
Laut Aaya Hun

Lekin Meray Ander Koi Toot Gaya Hay
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Her shakhs ne mujhko mazaq hi banaya hai

Pahar kehta hun hudko per moom hi sarmaya hai

Dard sene ka ankhon se chalak aya hai

Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Jazbaton se kheyl kar usne mazaq mera uraya hai

Dekha kar asman zameen mein dafnaya hai

Haan gafil hun deen se phal dunya mein paya hai
kya mila muhbt se?
khawab ki musafat se
wasl ki tamazt se
roz.o.shb riazt se

kiya mila muhbt se?

aik hijr ka sehra
aik shaam yadon ki
aik thaka hua aansu...
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge