Ankhein band kar k

Ankhein band kar k
Ankhein band kar k mein apni dhoond loon gha tujhe,

aur tassawur mein hee kabhi choom loon gha tujhe,

bas ik arz hai k mujhe bas pna bana le,

phir chup rahoon gha na kuch kahoon gha tujhe
  

Jun, 02 2010     197 chars (2 sms)     3381 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tujh se shikwa to nhi mgr ay likhnay walay

Tu ne mukadar mra bra ajeb likha hai

Umar bhr na mita saky jis se durian

Us shakhs ko dil k boht qreb likha hai.
mat chor mera sath tu zindagi mein is tarah mohsin..

shayad hum zinda hain tumhary hi sath rehny say..
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hii intazaar kerta hai

Dekh ker bhi na dekhny walay
Dil tujhe dekh dekh Derta hai

Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiay din kahan guzerta hai

Dheyan ki seeriyon pe pichly pehar
Koi chupky sy paun dherta hai

Dil to mera udaas hai ''Sameer''
Shehar kyun sayein sayein kerta hai..
"Yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
hum ne kab mani thi baat zamanay ki
aaj humare baat manayzamana kyon
wo jungl kay phoolon per kyon marta hai
ussko achay lagtay hein veranay kyon
mohsin jab b chot nae kha leta hoon
dil ko yaad aatey hein dost poranay kyon,,
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. ...........
karta rahun gunah har mokay pay besabab.....



kitna RAHEEM hai WO ik tooba pe chor day ....!
Jigar ki aag say iss dill ku jalta daikhtay jao
Luti jati hay armanon ki dunya daikhtay jao

Issi din k liey bolo tumhain kya ham nay chaha tha
Keh gam barbad hun aur tum tamasha daikhtay jao
Ab Kisi Aankh Ka Jadu Nahi Chalta Mujh Per
Wo Nazar Bhool Giye Hai Mujhe Pathar ker Ke
Pochna Chahon Uss Nigha-E-Dil Se
Kis Ko Aabad Kia Mujh Ko Berbaad Ker ke
aankhen bandh karnge to hame hi dekhonge,
aankhen kholonge to hame hi paonge,
zindagi me kabhi rona mat,
warna un ansuo ke sath tum hame bhi gavaoge