Bharamar koi ko Mudni

Bharamar koi ko Mudni
Bharamar koi ko Mudni par machal betha to hangama..
Humarey dil mai koi khuaab pal betha to hungama..
Abe tak doob kar suntey the sub kissa mohabbat ka..
main kissay ko haqeqat mai badal betha to hungama..
  

Jun, 03 2010     209 chars (2 sms)     2842 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khaak Urti Hy Raat
Bhar Mujh Main

Kaun Phirta Hy
Dar-ba-Dar Mujh Main

Mujh Ko Mujh Main
Jaga Nahi Milti

Koi Mojood Hy Is
Qadar Mujh Main ...
Maine Socha Tha Inkaar Kar Dun,
Magar Ikraar Hota Chala Gaya,
Likha Tha Baad Mein Dhoka Khana,
Isliye Mujhe Pyar Hota Chala Gaya
Do hi Lafzo''n Ka Tha
Wo Afsana ...

Jo Suna Ker Khamosh
Ho Bethey ...

Ibtida Ye K Tum Ko
Chaha Tha ...

Intiha Ye K Khud Ko
Kho Bethey ...
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
Sagar kinare baithe
Lehron ko dekh rahe
Uchhalti, Kudti, chulbuli si
Koi chhoti, to koi badi
Surya ki keerne se khelte khelte
Kinare se takrati
aur sagar mein phir se sama jaati
Jaise sukun ki neend le rahi ho
Yehi hai zindagi!!!
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen..
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?
Aagosh-E-Sitam Mein hee Chupa Le Aa Ker Koi
Tanha HonTarapne Se Bacha le Aa Ker Koi
Sookhi HainBari Dair Se Palkon Ki Zuban
bas Aaj To Gee Bhar K Rula De Aa ker Koi
Ek hi zakhm Nahi sara Badan zakhmi Hai







Dard Hairan Hai ke Uthun To kahan sE uthun
barhayin meri payas ko aksar teri ankhain
sahra mera chahra hay..samandr teri ankhain

mumkin ho tu ik taza ghazal aur b kah lon
phir orh na lain khawb ki chadar teri ankhain

yun daikhty rahna usy acha nahi mohsin
wo kanch ka paikar tu pathar teri ankhain