Be-khuloos logo’n se Ijtinab karna hay

Be-khuloos logo’n se Ijtinab karna hay
Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay
  

May, 29 2010     178 chars (2 sms)     3645 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Main Ro bhi nHi skTa, kiu k HanSy ge DuNia
NaKaam Chahat pr, TaaNy kasy ge DuNia
Koi DaiKhy Mairi, ByBasi ko ZaRa
Ashq Ankhaon main hy, DiL hy GhaM sy bhara
Honto p Muskan hy...!
main apni wafa k badle tum se wafa nahi mang raha...

main tu tum se haseen raat mang raha hoon jis main tum na thy
Na koi subba na koi sham dety ho

Dil darakne ko muhabat ka nam dety ho

Roz chale atey ho khuwab main mere

In ankhon ko na ik pal tm aram detey ho

Tm na pucho gay kbi mera hal e dil
or

Gairo ko har roz salam dety ho

Hm ne yad rakha is leye mujrim thehre

Shayad bhool jane pe tm inam dety ho..
na lub se aah na dil se sada niklti hai
magr yeh baat bari dur tuk ja niklti hai
wo zindgi ho k duniya faraz kya kijye
jis se ishk karo bewafa niklti hai
Roe is qadar wo meri laash sa lipth ker faraz...

agar is bat ka pata hota to kab ka mar gaye hotay..
SuNooo
December Ki Thatharti Hoi Shamien

Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien

Darakhto''n Se Girtey HuayKhushk Zard Pattey

Woh Gao''n Ke Tama''m Raste

Mohabbato''n Ke Tama''m Rishtey

Khiyaal Abad Karte Hain

Tumhein Sab yaad Karte Hain !
Sangeet ke saath aawaz..

Phool ke saath khusbu..

Jism ke saath rooh..

Khusi ke saath gham..

Aapko tang karne ko hum..

Har lamha har dam.. :)
Yaadon Mein Teri Yaad Thi
Kya Yaad Tha
Kuch Yaad Nahi
Teri Yaad Mein Sab Kuch bhool Gaye
Kia Bhool Gaye Kuch Yaad Nahi
Bus Yaad Ho Tum
Kyun Yaad Ho Ye Yaad Nahi
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa''n chehkein gee yakh-basta raato''n may
Aur pairo''n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
mujhe maloom hai tu mujhe har gunha k baad bhi bakhash de ga khudya..

kuch asa kar khudya k mian gunaha na kero or tujhe pasand aajao..