Yun meray khat ka jawab aaya…

Yun meray khat ka jawab aaya…
Yun meray khat ka jawab aaya…
Lifafay main aik gulaab aaya
  

May, 29 2010     59 chars (1 sms)     3003 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye
mujhay khabar thi,
zamaana chaahay bura he samjhay,
bhalay say ghar main mukhaalifat ho,
tumhaaray logon ko na-pasand ho,
tumhain to mujh par yaqeen hoga!
magar mujhay yeh khabar na thi,
tumhaari aankhon ki unsiyat bhi,
ek ajnabiyat say dekhti hay,
yeh waqt mushkil-tareen hay na!!
suno...
main majboor ho gaya hoon,
yeh sochnay par..
yeh sochnay par..
tumhain to mujh par yaqeen hay na...!!!
Kisi Ke yadon ne pagal bana rakha hai
kahin mar na jao kafan sila rakha ha
dafnane se pehle dil nikal lena
kahin wo na dafan hojaye
jisy dil main chupa rakha ha
jo kuch hamary sath hua wo bajaa na tha....

itne bure b kb thy agar hum bhale na thy...
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha
Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na tha





Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya
Ye Tabbasum,
Ye Taazgi,
Ye Nikhar,
Zindagi Ki Se
Baat Ker k Chali
Aai Hy !!

Un k Honto''n Pe
Tabbasum Ka
Ye Halka Sa
Khumaar
Jese Gulshan Mein
Dabe Paao''n Bahar
Chali Aai Hy
BAS ITNA YAAD HAI
Dua To Na Jane Kon Si Thi
Zehen MeIn NahIn
Bus iTna YaaD HaI
K Do HatheLiyan Millin Huwe Thein
Jin MeIn Aik MeRi Thi
AuR Aik TuMhari!
Ab yeh bhi nahi Theek keh har dard mita deN










Kuch dard kaleje se lagaane ke liye haiN
Chehray pey meray zulf ko bikhrao kisi din
Kyou roz garajtay ho baras jao kisi din
Peron ki tarah husan ki barish mein naha lo
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din
Khushbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
Pholon ki tarah mujh pey bikhar jao kisi din
Guzren jo meray ghar say tu ruk jaen sitaray
Es tarah meri rat ko mehkao kisi din
Mein apni har ek sans usi rat ko day don
Sar rakh k meray senay pay so jao kisi din
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..