Tari CHAHT mein GUZRATI

Tari CHAHT mein GUZRATI
Tari CHAHT mein GUZRATI meri har SHAAM thi,
Mere DIL se nikli hui har DUA tere NAAM thi,

Ab mujhko ILZAAM na do BEWAFAI ka,
Mere HATHOON ki LAKEEROON mein WAFA AAM thi,
  

May, 29 2010     173 chars (2 sms)     2605 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Lakin Badi Dair Ho Chuki Thiieeee

Ek umer ke baad uss ko dekha

Aankhoon mein sawaal thay hazarooon

Hontoon pe magar wohi tabbassum

Chehrey pe likhi hui udaasi

Awaaz mein gunjti judaiiiii

Main kaise shajar se katee rah tha

Woh ponch raha tha aansoon merey

Lakin bohot dairy ho chukii theeeee...!!
mujhe ata tu nahi hai muhabat kerni...

kounk main maa se aksar naraz rahta hun...
Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!
usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or Karney ki...
.
.
Teri Yadain,
Teri Batain,
Buhat Masroof Rakhti hain..!
TUme yaad hai?? Ibtadai mulakaton main mai kaha kerta tha,muje tumhare jism say nhi,tumhari rooh say mohabat hai,,kya wo jhooot tha?
Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho.
Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main Intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai
Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
main kachi nind main hun
aur apne nim khwabida tanaffus main utarti
chandani ki chap sunti hun
guman hai
aj bhi shayad
mere mathe pe tere lab
sitare sabat karte hain